Urdu Friendship Poetry New Dosti Shayari









Dosti Shayari Or Friendship Poetry Collection










Woh Jaanta Hi Nahi Hai Ke Dosti Kya Hai
Guzar Gayi Hai Jo Mushkil Se Zindagi Kya Hai


Miley Ga Hijar Judai Mein Katay Jab Din
Tabhi Hi Hoga Yeh Maloom Tashnagi Kya Hai


Nahi Miley Gi Jo Rootti Rahen Ge Jab Bhukay
Bta Ghareeb Hi Sakta Hai Be Basi Kya Hai


Chala O Mat Yeh Abhi Teer Jab Yeh Pyar Sun-Hwa
Chalay Ga Tab Hi Pata Pyar Aashiqii Kya Hai


To Jaanta Hi Nahi Pyar Ishhq Ke Baray
Milein Gi Nazrain Khabar Hogi Dil Lagi Kya Hai


Khushii Se Zeist Guzar Jaye Gi Milo Ik Baar
Jo Tairay Lab Hon Muyassar To Me Kashi Kya Hai


Kisi Ghareeb Se Shahzad Poochiye Ga Magar
Ameer Ko Nahi Maloom Saadgi Kya Hai
-------------------------------------------------

 


 












Har Waqt Intzaar Karta Hon
Tum Ko Be Los Pyar Karta Hon


Par


Dil Mein Rakhta Hon Mein Batata Nahi
Pyar Kab Aashkaar Karta Hon


Shughaf Hai Shairi Se Is Liye Yeh
Mashgala Ikhtiyar Karta Hon


Mere Dushman Nahi Ho Yaar Ho Tum
Doston Mein Shumaar Karta Hon


Tairay Ban Dil Nahi Mra Lagta
Is Liye Cal Yaar Karta Hon
-------------------------------------















Dosti Aam Hai Lekin Ae Dost
Dost Milta Hai Barri Mushkil Se
-----------------------------------------
Woh Koi Dost Tha Achay Dinon Ka
Jo Pichli Raat Se Yaad Aa Raha Hai
------------------------------
Taab Nigah Thi To Nzarah Bhi Dost Tha
Is Chasham Nargaseen Ka Ishara Bhi Dost Tha
-----------------------------------
Sun Marray Dil Ki Zara Aawaz Dost
Ae Marray Mohsin Marray Hum Raaz Dost
--------------------------------------
Dost Khush Hotay Hain Jab Dost Ka Gham Dekhte Hain
Kaisi Duniya Hai Ellahi Jisay Hum Dekhte Hain
----------------------------
Dost-Dost Nah Raha
Wafa Mein Wafai Nah Rahi
Hamein Un Ke Dur Ki
Shanasaai Nah Rahi
----------------------
Muntazir Hoon Ke Sitaron Ki Zara Aankh Lagey
Chaand Ko Chhat Pay Bula Lo Mein Ishara Karkay
----------------------------------
Pyar Se Muskurana Gazabb Hogaya
Baat Dil Ki Batana Gazabb Hogaya

 


 
Pyar Ko Aa Zay Maana Gazabb Hogaya
Be Wajah Ghar Sajana Gazabb Hogaya


Hui Ruswai Hai Logon Ke Samnay
Pyar Se Hi Bulaataa Gazabb Hogaya


Sah Judai Nahi Dil Yeh Paata Mra
Dil Sabhi Se Laga Gazabb Hogaya







Roz Kehta Hai Apni Sunaaoo Ghazal
Gazleen Apni Sunana Gazabb Hogaya


Lams Chhoo Ne Laga Hai Maray Baar Baar
Dast Ulfat Barhana Gazabb Hogaya


Bhool Paaya Nahi Mein Abhi Tak Usay
Nazrain Un Se Milana Gazabb Hogaya


Dushmani Barh Gayi Hai Meri Dostoo
Sath –Apne Hi Lana Gazabb Hogaya


Milnay Aaya Nahi Chore Kar Chal Diya
Wada Apna Nibhana Gazabb Hogaya
---------------------------------------
Aisay Dekho Ge Masla Hoga
Daikhta Koi Dosra Hoga


Pyar Mukhlis Nahi Hai Karta Woh
Roz Kehta Tha Be Wafa Hoga


Is Liye Pyar Kya Nahi Is Nay
Mere Baray Mein Jaanta Hoga


Is Liye Aaya Woh Nahi Milnay
Ho Gaya Khatam Rabita Hoga


Aaj Aana Tha Ghar Marey Is Nay
Woh Pata Ghar Ka Puchta Hoga


Ishhq Ka Tha Junoon Chaaya Usay
Woh Gireybn Apna Nochta Hoga


Is Liye Aaya Woh Nahi Abhi Tak
Mere Dushman Se Mil Gaya Hoga
----------------------------------------
Tre Mein Ab To Rahi Baat Woh Nahi Hai Dost
Hui Yeh Apni Mulaqaat Woh Nahi Hai Dost


Chalay Hi Aao Puraka Hai Yaad Bhi Kya Hai
Meri To Anay Ki Auqaat Woh Nahi Hai Dost


Naseeb Mein Likhi Thi Khushi Gayi Thi Mil
Ke Aani Zeist Mein Phir Raat Woh Nahi Hai Dost


Khuloos Bhi Tha Bohat Pyar Se Hi Laaye Thay
Yeh Pehlay Wali Mara-Aat Woh Nahi Hai Dost


Tha Ishtiaq Mohabbat Ho Kam Gayi Hai Kyun
Hui Thi Phoolon Ki Barsaat Woh Nahi Hai Dost


Khushi Manayi Hai Shahzad Is Liye Mein Nay
Mili Thi Dard Ki Soghaat Woh Nahi Hai Dost
--------------------------------------------
Doston Se Rasai Sochen Ge
Sab Se Ho Ashanie Sochen Ge


Sochti Chahay Jo Rahay Duniya
Hum Tusab Ki Bhalai Sochen Ge


Pyar Karte Rahen Hain Mukhlis Jo
Kaisay Phir Be Wafai Sochen Ge


Be Wafai Ki Gir Maray Janaan
Phir Kabhi Hum Judai Sochen Ge


Naachna To Nahi Mujhe Aata
Jab Mein Nachun Ga Bhai Sochen Ge


Likh Ghazal Is Liye Raha Hon Mein
Phir Kkhuda Ki Khudai Sochen Ge


Jab Hamari Kitaab Aeye Gi
Hum Bhi Phir Ronmayi Sochen Ge


Mil Nah Insaaf Gir Saka Mujh Ko
Jab Yeh Goli Chalaye Sochen Ge


Sonay Shahzad Dukh Nahi Dete
Jab Kabhi Sir Pay Aayi Sochen Ge
-----------------------------------------
Hamein Hussain Mulaqaat Ki Talabb Rahay Gi
Guzari Mil Ke Thi Is Raat Ki Talabb Rahay Gi


Ke Baat Ka Pata Chal Jata Hai Qabelay Ka
Agar Hsin Bhi Ho Auqaat Ki Talabb Rahay Gi


Khasara Lutaf Hamein Hijar Karb Day Raha Hai
Har Lamhay Hum Ko To Shadat Ki Talabb Rahay Gi

 


 

Tumhe Hi Pyar To Be Los Is Liye Kya Hai
Tumhe To Phir Maray Jazbaat Ki Talabb Rahay Gi


Diye Thay Hum Ne Kabhi Fart Ishtiaq Se Hi
Tumhe Unhi Hsin Lamhaat Ki Talabb Rahay Gi


Luta Di Hum Ne To Shahzad Apni Doulat Sab
Ke Ishtiaq Se Soghaat Ki Talabb Rahay Gi
----------------------------------------
Aqal Se Peedal- Waloo Ka Kya Kijiye ?
Kkhuda Hadaayat Day Inhe Bas Dua Kijiye
.
Subah O Shaam Zikar Tera Charchaa Karte Heen
Aur Batlaye Yaad Ka Teri Ab Kya Kijiyej


Jaan Se Apni Jane Ka Hamin Gham Nahe .
Kahiye To Zind Gi Apni Tum Par Fida Kijiye


Jab Kisi Ko Dil Dainay Se Gharz Nahe Koi
Phir Usko Pyar Mean –Apne Kiven Mubtala Kijiye


Asad Mar Khp Gaya Ya Hunooz He Abhi Zindah! ! !
Koi To Khabar Lijiye Uski Pata Kijiye. .








یہ شاعری کیسی لگی









Post a Comment

0 Comments